Friday, August 19, 2005

Rog - Maine Dil Se Kaha

(maine dil se kaha dhoond lana khushi
na samajh laya gam, to ye gam hi sahi)*2

maine dil se kaha dhoond lana khushi

bechara kahan jaanta hai,
khalish hai ye kya khala hai
shehar bhar ki khushi se
ye dard mera bhala hai
jashna ye raas na aaye
maja to bas gam mein aya hai

maine dil se kaha dhoond lana khushi
na samajh laya gam, to ye gam hi sahi

kabhi hai ishq ka ujala
kabhi hai maut ka andhera
batao kaun bhes hoga
main jogi banu ya lutera
kai chehre hai is dil ke
na jaane kaun sa mera

maine dil se kaha dhoond lana khushi
na samajh laya gam, to ye gam hi sahi

hazaron aise faasle the
jo taiy karne chale hai
raahe magar chal padi thi
aur peeche hum reh gaye the
kadam do char chal paye
kiye phere tere mann ke

(maine dil se kaha dhoond lana khushi
na samajh laya gam, to ye gam hi sahi)*2

No comments: